Saturday 27 August 2016

Blogger Blog Me Menu bar Kaise Lagaye Ki Puri Jankari Hindi Me.

BLOG ME MENU BAR KAISE LAGAYE KI PURI JANKARI.

Dosto visit me india me aapka swagat hai hamne ye site aap logo ki help ke liye hi banai hai agar mere articles se aap logo ko help milti hai to mujhe iski khushi hoti hai aur mai aap logo ki help ke liye aur bhi jyada important articles lane ki koshis karta hu agar aap logo ka sath aur sahyog isi tarah milta raha to future me mai isi tarah aap logo ki help ke liye useful post karta rahuga.
                                   Blog Me Menu Bar Create kaise kare ki Puri Jankari

To chaliye dosto hum aj ke apne topic par ate hai aap apne blog ya site me menu bar isliye change ya edit karte hai jisse visitors ko aasani se aapki site per available post ka pata chal jaye aur visitors asani se apne kam ki post rarh sake aur blog me menu create karne se blog ka look bhi acha ho jata hai.
dosto menu bar create karna koi jyada hard kam nhi hai bus aapko jarurat hai ise puri mehnat ke sath dimak lagakar bar bar karne ki yaha aapko jyada mehnat nhi karna hai bus jaise jaise maine bataya hai waise hi step by step follow kare aur apka menu bar asani se taiyar ho jayega.
Step-1.bloger apne blog ke dashboard ko open kare



Step-2.layout option par click kare
Step-3.add a  gadget par click kare


                                                         gagdet par click karte hi new windows open ho jayega jisme bahut se gadget ki list di gai hai .isme se aapko pages ke gadget ko select karna hai aap screenshot me bhi dekh sakte hai.


Step-4.aap jaisehi pages par click karege kuch is tarah ka screenshot dikhega


A-Title box me pages ki jagah menu ya aur koi naam inter kar sakte hai ya pages hi rahne de sakte hai.
B-is box me aapko lables ki add karna hai (add external link par click karte hi ek new window open hogi jisme apko apne catagory ka name aur uska link dalna hai)
C-apko apne menu me jis page ko show karwana hai us per tick kare bus ho gaya ab aapke blog me bhi menu bar lag chuka hai
NOTE- aap is tarah ka menu bar apne blog par tabhi use kar sakte hai jab tak aap default templet use karte hai or agar aapne templet hi use karte hai or agar aapne template kahi bahar download kiye hai aur aapko usme menu bar create karna hai to uske liye aapko alag se template ke HTML edit option me jakar menu bar set karna padata hai.
     agar aapne apne blog ke liye kahi bahar se template liya hai aur aapko isme menu bar create karna hai to iske liye hamari ye post dekhe.

Popular Posts

Total Pageviews