Tuesday, 23 August 2016

Blogger template ko zip se xml me kaise convert kare-easy trike se.

Blogger template ko zip se xml me kaise convert kare-easy trike se.

aap apne blog ya site ke liye jo bhi template download karte hai wo zip file me hoti hai jisse apko xml file me convert karne ki jarurat hoti hai kyon ki blogger kewal xml file hi support karta hai.
      agar aapko zip file ko xml file me convert karne ki jankari nahi hai to aap yaha assani se iski jankari  pa sakte hai aur zip file ko xml me convert kar sakte hai.
mai yaha aapko zip ko xml me convert karne ka sabse easy tarika bata raha hu, aapke computer ya laptop me winrar software hoga agar nai bhi hai to pahle ise download karke apne pc me install kar le ya computer shop par dalwa le iske bad winrar software me apni download  zip file open karle.


kuch is tarah ka page open hoga yaha "extract to" par click kare ab ek new window open hogi image ke anusar setting kare-



1- extract and update file par tick kare.
2- rename automatically par tick kare
3- ok par click kare
               jaise hi aap ok par click karenge aapse yes ya no ke liye kaha jayega aap yes par click kar de bus kuch hi seconds me aapki file zip se xml me convert ho jayegi.


  file convert hone ke bad is template ke nam ka ek folder ban jayega ise open kare.
folder open karne ke bad aap isme kai folders dekh sakte hai isi me xml file bhi rahegi ise hi aap apne blog me use kar sakte hai.*Blog me labels kaise use karte hai post ko category me rakhne ke liye also read this.
is tarah aap bahot asani se kisi bhi zip file ko xml file me convert kar sakte hai agar aapko isme kahi bhi problem hoti hai to aap hume comment kare hum apki help karne ki puri koshish karenge sath hi sath hame ye bhi bataye ki aapko humari ye post kaisi lagi jis se age bhi hum aapki puri help kar sake. agar  aap bhi hamari  aur dosto ki help karna chahte hai to humari post ko share jarur kare

0 comments:

Popular Posts

Total Pageviews