Blogger template kaise change/upload/edit kare ? hindi me jane(how to change blogger templates-in hindi)
Hello! dosto aj hum apko is article me blog ke template ko change karne ke bare me batayenge,aap jante honge ki template blog ke liye kitna important hota hai agar aap apne blog ko eak better look dena chahte hai and traffic badhakar income karna chahte hai to blogger template ko change karna jaruri hai template apke blog ko attractive banata hai jis se blog par visitors jyada ate hai. shortcut me mai apko samjha du ki agar aap apne site/blog par jyada traffic lana chahte hai to apne blog ki template change jarur kare.
Blog ka template kyon change kare-jane.
waise to blogger ne free me bahut se template de rakhe hai but ye kafi old hai our blog ko jyada atractive nahi banate hai and hamara kafi traffic miss ho jata hai isliye blog template change karna jaruri hai.mai apko bata du ki net par aesi kai sites hai jo haume free me templates deti hai aap in templates ko download karke apne blog me upload kar sakte hai. btamplate.com ya phir webdesingrazzi.com kuch aesi sites ho jo apko free me templates deti hai.
yaha mai apko eak aur bat batana chahunga wo yah hai ki blogger kewal XML file hi support karta hai isliye template download karte samay yah jarur dekh le ki file XML hai ya nahi.blogger template ko zip file se xml file me kaise change karen assani se click here
Blog ka template assani se change kare- easy tarike se.
Step-1. Sabse pahle aap apne blog me login hokar blog ka dashboard open kare.Step-2. a-template par click kare b- Backup restore par click kare c- download full template par click kare.
Note:- Yaha maine apko template ka backup kar lene ka suggest isliye kiya ki new template upload hone me agar koi error ati hai to aap dobara backup ke dwara aap apna purana template use kar sakte hai.
Step-3. Ab apko naya template upload karne ke liye choose file par click karna hai, click karne ke bad jaha par apne apne template ki xml file rakhi hai select kare agar agar nahi hai to pahle bataye gaye tarike se file download kar le.
Step-4. XML file select karne ke bad upload button par click kare bus itna hi ab apka new template apki blog par kuch seconds me upload ho jayega.
I think ab aap log bhi template change karna jan gaye honge agar apko kahi bhi kisi bhi steps me koi bhi problem ati hai to aap hume comment kare hum apki puri help karenge aur ha aap ko hamari ye post kaisi lagi hame jarur bataye jis se aage bhi hum apki aur jyada help kar sake.
0 comments:
Post a Comment