BLOG BANANE KE BAD KYA KAREN- Full Guide hindi me.
Aksar log blog to bana lete hai magar acche se design na kar pane ke karan 20% traffic miss kar dete hai mai apko is post me kuch aise tips batauga jinko follow karke ap apne blog ko ek better disign de sakte hai.
Agar apne blog bana liya hai aur usme 10-12 post bhi share kar chuke ho to bhi aap blog ko design kar sakte ho, yani aap apne blog ko jab chahe apne tarike design kar sakte ho.
TO chaliye jante hai blog me kaun se aise terms hai jinke dwara aap apne blog ko better design de sakte ho-
1-Template- blog ke liye template sabse importent hota hai jo blog ko akarsak banata hai is liye template select karte samay ye bate dhyan me rakhe-
-mobile friendly -SEO friendly
-Fast loading
-Simpl colour
-better menu bar
aise templete choose kare jo mobile me bhi better so ho. bloger ko apne blog ke liye templete ki jankari jarury hai. blog ke template ko kaise change kare iski puri jankari humari is post me hai Blogger template ko kaise upload/change kare-easy tarike se. is post me maine template se sambandhit sari jankari di hai bus ise follow karke aap bhi apne blog ke template ko asani se change kar sakte hai.
2-WIDGETS- facebook page,recent page,recent comment,papular post ye sabhi widgets hai jinhe templete select karne ke bad templete me lagana hota hai.
3-MENU BAR- menu bar blog ka ek main part hai jisme post ko topik ke hisab se categries ki jata hai isse visitors ko uske kam ki post asani se mil jati hai.
4-SEARCH BOX- net par available lagbhag sabhi templetes me search box pahle se laga hota hai agar apke blog me search box nahi bhi hai to aap ise alag se lagasakte hai.
5- Remove extra blog features- blog me kuch extra features hote hai jaise powered by blogger,template by,navigation bar etc. because aap apne blog ko website ki tarah dikhana chahte ho isliye in extra features ko remove karna jaruri hai.
6- Search engines- jab aapki site completely design ho jaye to site/blog ko search engine se submit kare. google,yahoo,bing etc. ye sabhi search engine hai jinme site show hoti hai.
7.Traffic- Har blog ke iye traffic jaruri hai but blog par traffic laye kaise dont worry iske liye aap social media ka shahara le sakte hai, social media se aapko achi traffic mil jati hai.
8- Apply to adsense- Adsense ke adds ko blog me lagane se hi income hoti hai iske adds aap tabhi apne blog me laga sakte ho jab apka blog 6 month old ho aur per day 400-500 pageviews ho.agar aapka blog 6 month old hai aur 400-500 pageviews bhi ho rahe hai to aap adsense ke liye apply kar sakte ho.
adsense ke alawa aap chitika,bidwertiser bhi use kar sakte hai but aap adsense ke adds hi use kare ye jyada better hote hai.
9. Focus on your blog- Apne blog ko completely design kar lene ke bad aapko apne blog me achi posts share karna jaruri hai post easi dale jise log pasand kare aur aapko us bare me puri jankari ho i hope agar aapne ye ari bate kar dikhayi aur visitors bhi ane lage to aap apni site se achi income kar sakte hai.
0 comments:
Post a Comment